
Nikle the kahan jane ke liye Pahunche hain kahan malum nahi Pahunche hain kahan malum nahi Ab apne bhatakte kadmon ko Manzil ka nisha malum nahi Manzil ka nisha malum nahi Humne bhi kabhi ho Humne bhi kabhi is gulshan mein Ek khwaab e bahara dekha tha Ek khwaab e bahara dekha tha Kab phool jhade Kab phool jhade kab gard udi Kab aayi khiza malum nahi Kab aayi khiza malum nahi Ab apne bhatakte kadmon ko Manzil ka nisha malum nahi Manzil ka nisha malum nahi Dil shola e gham ho Dil shola e gham se khaak hua Ya aag lagi armanon mein Ya aag lagi armanon mein Kya cheez jali Kya cheez jali kyun seene se Uthta hai dhuan malum nahi Uthta hai dhuan malum nahi Ab apne bhatakte kadmon ko Manzil ka nisha malum nahi Manzil ka nisha malum nahi Barbad wafa ho Barbad wafa ka afsana Hum kis’se kahein aur kaise kahein Hum kis’se kahein aur kaise kahein Khamosh hain lab Khamosh hain lab aur duniya ko Ashqon ki zuban malum nahi Ashqon ki zuban malum nahi Nikle the kahan jane ke liye Pahunche hain kahan malum nahi Pahunche hain kahan malum nahi Ab apne bhatakte kadmon ko Manzil ka nisha malum nahi Manzil ka nisha malum nahi. Nikle The Kahan Jane Ke Liye Lyrics from Bahu Begum is Hindi song sung by Asha Bhosle and music is given by Roshan. Nikle The Kahan Jane Ke Liye song lyrics are written by Sahir Ludhianvi.
Comments